Bechain hoon main, khamosh hoon main.
Aaj chup hoon, niruttar hoon main,
Kaun hai wo, kya cheez hai,
Kiya kyun aisa, stambh hoon main.
Aaj shaam jal rahi hai,
Hansi kahin kho gayi hai,
Na sur mein, na taal mein,
Na kisi hi kitaab mein,
Man mera lag raha hai,
Pareshan hoon main.
Nahin dekh sakti, in veerano ko main,
Maathe par pade in gaddhon ko main,
Kahin to kisi ne koi galti kari,
Kyun bhugte hum, ye hain uljhan badi
Usne socha tha ki ghar wo hai gayi,
Nikla arth ulta, chutti mehengi padi
Kiya yaad usne, mujhe badi samajh,
Daandhas bandhaya maine, use choti samajh,
Mann uska maine tha halka kiya,
Lekin kyun hai mann mera itna vichlit abhi?
Karoon to karoon kya, kya chilla padoon?
Man ka saare gubaar, kya aaj nikaal doon?
Soch soch ke nasein hai fatne lagi
Kuch badla nahn, sirf dekhti rahi
Aaye gaye mausam, main sochti rahi,
Ki kahin to kabhi to, ugega suraj abhi,
Hua kuch nahn, bus main khadi rahi,
Apnon ke ghamon ko badhta dekthi rahi,
Mann masosti rahi, chup main khadi rahi,
Ladi thi ek waqt pe, par aaj nahn kar saki.
Jo tootna tha, wo to bacha nhn saki,
Jo tootega abhi, wo bhi jayega yunhi
Chaknachoor hote tukdon ko uthana padega
Usmein simti hai duniya, pryatn karna padega
Koshish yahi rahegi, ki wo khush rahe,
Mann mera mar jaaye, par wo hansti rahe
Rone ka mann hai, chillane ka bhi,
Shayad ro bhi doon, akele mein kahin,
Kisi se na bol paaon, na shikwe karoon
Mook gudiya ki tarah tamasha dekthi rahoon.
Main bechain hoon, khamosh hoon main.
Aaj chup hoon, niruttar hoon main,
Har cheez hai aaj badli, aashcharyachakit na main
Umeed ke daaman to phir bhi thaami hoon main
Badlungi waqt ko kabhi, yahi sochti hoon main,
Filhaal khadi main, chup chaap hoon main!