Sunday, May 24, 2009

Chup hoon main

Bechain hoon main, khamosh hoon main.
Aaj chup hoon, niruttar hoon main,
Kaun hai wo, kya cheez hai,
Kiya kyun aisa, stambh hoon main.

Aaj shaam jal rahi hai,
Hansi kahin kho gayi hai,
Na sur mein, na taal mein,
Na kisi hi kitaab mein,
Man mera lag raha hai,
Pareshan hoon main.

Nahin dekh sakti, in veerano ko main,
Maathe par pade in gaddhon ko main,
Kahin to kisi ne koi galti kari,
Kyun bhugte hum, ye hain uljhan badi
Usne socha tha ki ghar wo hai gayi,
Nikla arth ulta, chutti mehengi padi
Kiya yaad usne, mujhe badi samajh,
Daandhas bandhaya maine, use choti samajh,
Mann uska maine tha halka kiya,
Lekin kyun hai mann mera itna vichlit abhi?

Karoon to karoon kya, kya chilla padoon?
Man ka saare gubaar, kya aaj nikaal doon?
Soch soch ke nasein hai fatne lagi
Kuch badla nahn, sirf dekhti rahi
Aaye gaye mausam, main sochti rahi,
Ki kahin to kabhi to, ugega suraj abhi,
Hua kuch nahn, bus main khadi rahi,
Apnon ke ghamon ko badhta dekthi rahi,
Mann masosti rahi, chup main khadi rahi,
Ladi thi ek waqt pe, par aaj nahn kar saki.

Jo tootna tha, wo to bacha nhn saki,
Jo tootega abhi, wo bhi jayega yunhi
Chaknachoor hote tukdon ko uthana padega
Usmein simti hai duniya, pryatn karna padega
Koshish yahi rahegi, ki wo khush rahe,
Mann mera mar jaaye, par wo hansti rahe

Rone ka mann hai, chillane ka bhi,
Shayad ro bhi doon, akele mein kahin,
Kisi se na bol paaon, na shikwe karoon
Mook gudiya ki tarah tamasha dekthi rahoon.

Main bechain hoon, khamosh hoon main.
Aaj chup hoon, niruttar hoon main,
Har cheez hai aaj badli, aashcharyachakit na main
Umeed ke daaman to phir bhi thaami hoon main
Badlungi waqt ko kabhi, yahi sochti hoon main,
Filhaal khadi main, chup chaap hoon main!

9 comments:

Anonymous said...

Is rachna ko likhne wali, mujhe badi udaas lagey !!
kafi dard chhupa hai, lagta chot de gaye sagey !!
vidhata se prarthna meri, kuchh kar aisa iska bhi bhaag jagey !!
is do din ki dukhiyari duniya mein, auro ko nahi kam-s-kam ise to kuchh achcha lage... !! :) nice composition Apj.. :)

jusAnotherThinker said...

Small and simple words of yours,
Told me how little I knew,
I'd thought I'd met the entire cast,
Alas, even the usher did I not know.

Anonymous said...

udaas mun ki daastan padhi~
mun mera vichlit sa hua!

kahin kisi kone mein koi taar chhua~
mun mein tees ka ek sua-sa chubha!

pur ye kya ye to mere hee mun ka haal suna!
mein akela nahi jaan mun thoda sambla hua~

talaash hae sabhi ko mun ka haal sun_ne wale ki
yeh padha to...
.. meine bhi haan kisi ke mun ka haal suna..

Anonymous said...

Chup ho tum
shayad isi liye chup hu main
na chahat ki abhilasha
na hasee ki aas
na koi shikava
na koi ummeed
ye kaisi mansthiti hai ...
kyon ke chup ho tum
shayad isi liye chup hu main

yeh zindagee nahin
yes mera waqt nahin
ye meri haar nahi
par isi waqt ka shikaar hu main bhi
kyon ke chup ho tum
shayad isi liye chup hu main

koi tumhare mann jaan na saka
koi tumhe jaanate hue bhi
na jaanane se dukhi hua
koi khuda se mannat maang raha hai
to koi hamdard pane se khush hua
par phir bhi sawaal ye hi hai
kyon chup ho tum?
chup ho tum
isi liye to chup hu main ...

bechainee, khamoshi
ye to pehle bhi thi kahi
koi tumhe ehsaas dila raha tha
phir bhi chup the tum tabhi
'silence speaks' tumhe sunaya tha kisine
aur aaj ye hi khamoshi
tumhari mansthiti ban gayi

aaj shaam tumhari udaas hai
mann tumhara vichalit hai
kyon ke chup ho tum
chup hu main ...

main shabdo ka dhani nahi
par tumhare anamol shabdo ki parakh hai mujhe
apni chahat pesh karane ka haunsla nahi mujh me
phir bhi ummed ki kirane pe nazare lagaye hu main
phir bhi chup hu main
kyon ki
chup ho tum
shayad isi liye
chup hu main

Anon said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

"really every word kuch sochne ko vivash karta hai,ki akhir aisa kaun sa dukh hai jo ye kisi se share bhi nahi karna chahti aur udasi ki lapto mai jal bhi rahi hai".
akon kahu ya apj ya kuch aur sabhi mai ek hi soorat najar aati hai. nice way to express ur thoughts.........:)

Mandy said...

Hey..what an excellent piece of writing !! Every single line presenting such a vivid image of feelings...well done yar..keep it up !!

Anon said...

Wow. Beautiful lines

Anon said...

Kisi ke dukh ko is kadar samajh paana! Write to me.
Smartaps@gmail.com